miTTi tere mahakne se mujh ko guman hai
barish ki bund bund mein ek dastan hai
ye sochte ho kyun ki KHuda bas tumhein mila
dekho jahan zamin hai wahan aasman hai
lagta hai ghar wahi jahan aapas mein pyar ho
warna to log rahte hain aur ek makan hai
aankhon ki baat-chit mein paDna ye soch kar
nazron ke len-den mein dil ka ziyan hai
hairat hai kaise phul se KHushbu hui juda
mauqa mile to sochna kya darmiyan hai
shayad ki aur bhi kahin basti hai zindagi
lagta hai aur bhi kahin aisa jahan hai
tum hi kaho ki waqt se kyun haar man lun
jab ruh mein umang hai dil bhi jawan hai
'anwar' bazm hai saji ho jae shaeri
urdu se hum ko ishq hai apni zaban hai
Ghazal
MiTTi tere mahakne se mujhko guman hai
Syed Anwar Ahmad