miTTi tha main KHamir tere naz se uTha
phir haft-asman meri parwaz se uTha
insan ho kisi bhi sadi ka kahin ka ho
ye jab uTha zamir ki aawaz se uTha
subh-e-chaman mein ek yahi aaftab tha
is aadmi ki lash ko eazaz se uTha
sau kartabon se likhkha gaya ek ek lafz
lekin ye jab uTha kisi eajaz se uTha
ai shahsawar-e-husn ye dil hai ye mera dil
ye teri sar-zamin hai qadam naz se uTha
main puchh lun ki kya hai mera jabr o iKHtiyar
ya-rab ye masala kabhi aaghaz se uTha
wo abr shabnami tha ki nahla gaya wajud
main KHwab dekhta hua alfaz se uTha
shaer ki aankh ka wo sitara hua 'alim'
qamat mein jo qayamati andaz se uTha
Ghazal
MiTTi tha main KHamir tere naz se uTha
Obaidullah Aleem