miTTi pe koi naqsh bhi ubhra na rahega
gir jaegi diwar to saya na rahega
aaega nazar dhup mein chhat par wo khule sar
galiyon mein ye raaton ka nikalna na rahega
shaKHon se numu patton se chhin jaegi KHushbu
kaT jaega jab peD to kya kya na rahega
sochun to koi lafz milega na tere nam
likkhunga to kaghaz koi sada na rahega
bikhre hue chehron mein khaDa soch raha hun
aankhen na rahengi ki tamasha na rahega
miT jaunga likhte hue rudad shab-o-roz
jab main na rahunga mera afsana rahega
kho jaegi KHamoshi mein aawaz-e-jaras bhi
rahon mein kahin naqsh-e-kaf-e-pa na rahega
aage bhi dikhai nahin degi koi manzil
aur ghar ko palaTne ka bhi rasta na rahega
main harf hun likh lo mujhe aawaz hun sun lo
aate hain wo din jab koi mujh sa na rahega
Ghazal
MiTTi pe koi naqsh bhi ubhra na rahega
Nazeer Qaisar