miTTi jab tak nam rahti hai
KHushbu taza-dam rahti hai
apni rau mein mast o ghazal-KHwan
mauj-e-hawa-e-gham rahti hai
un jhil si gahri aankhon mein
ek lahar si har dam rahti hai
har saz juda kyun hota hai
kyun sangat baham rahti hai
kyun aangan TeDha lagta hai
kyun payal barham rahti hai
ab aise sarkash qamat par
kyun tegh-e-mizha KHam rahti hai
kyun aap pareshan rahte hain
kyun aankh 'rasa' nam rahti hai
Ghazal
MiTTi jab tak nam rahti hai
Rasa Chughtai