miTti hui tahzib se nafrat na kiya kar
chaupal pe buDhon ki kahani bhi suna kar
malum hua hai ye parindon ki zabani
tham jaega tufan daraKHton ko gira kar
pital ke kaTore bhi nahin apne gharon mein
KHairaat mein chandi ka taqaza na kiya kar
mumkin hai garebanon mein KHanjar bhi chhupe hon
tu shahr-e-aman mein bhi na be-KHauf phira kar
mange hue suraj se to behtar hai andhera
tu mere liye apne KHuda se na dua kar
tahrir ka ye aaKHiri rishta bhi gaya TuT
tanha hun main kitna tere maktub jala kar
aati hain agar raat ko rone ki sadaen
ham-sae ka ahwal kabhi puchh liya kar
wo qaht-e-ziya hai ki mere shahar ke kuchh log
jugnu ko liye phirte hain muTThi mein daba kar
Ghazal
MiTti hui tahzib se nafrat na kiya kar
Rafiq Sandelvi

