miTa sa harf hun bigDi hui si baat hun main
jabin-e-waqt pe ek naqsh-e-be-sabaat hun main
bata basit zamane hai kya yahi insaf
jo hai adu-e-numud-e-sahar wo raat hun main
guman ye tha ki hun markaz-e-hujum-e-nigah
yaqin ye hai ki mahrum-e-iltifat hun main
hai kis gunah ki syahi meri ghalat-fahmi
main jaanta tha ki ruh-e-tajalliyat hun main
har aah-e-sard hai uftad-e-ashk ki tafsir
ukhaD chale hain qadam waqf-e-hadsat hun main
paDhun shikast-e-azaem ka marsiya kab tak
na jaane kab se sipurd-e-muqaddaraat hun main
ye sab durust magar phir yahi kahunga 'siraj'
KHud ek zamana hun KHud ek kaenat hun main
Ghazal
MiTa sa harf hun bigDi hui si baat hun main
Siraj Lakhnavi

