miTa ke tirgi tanwir chahta hai dil
har ek KHwab ki tabir chahta hai dil
jise sambhaal ke rakh le zamana yaadon mein
wo apni zat ki taswir chahta hai dil
main apne aap se jab jab sawal karta hun
mere jawab mein tasir chahta hai dil
suKHan payam ho duniya ke waste koi
dilon ke waste taqrir chahta hai dil
na chahta hai ki tir-o-kaman ki baat karun
na apne hath mein shamshir chahta hai dil
tumhein se raunaqen qaem hain bazm-e-hasti ki
tumhaare pyar ki jagir chahta hai dil
wo jis pe rashk kare har koi zamane mein
qalam ki shoKHi-e-tahrir chahta hai dil
Ghazal
MiTa ke tirgi tanwir chahta hai dil
Faiyyaz Rashk