اردو हिंदी
MiTa ke anjuman-e-arzu sada di hai | Shaahi Shayari
miTa ke anjuman-e-arzu sada di hai

Ghazal

MiTa ke anjuman-e-arzu sada di hai

Aziz Qaisi

;

miTa ke anjuman-e-arzu sada di hai
chale bhi aao ki har raushni bujha di hai

gar ittifaq se paya hai qatra-e-shabnam
samundaron ko meri pyas ne dua di hai

hujum-e-rah-e-rawan raund kar guzarta hai
bisat dil ki kahan hum ne ye bichha di hai

dilon ka KHun karo salim rakho gareban ko
junun ki rasm zamana hua uTha di hai

na muD ke dekhegi duniya maro na ghuT ghuT ke
ye hadson pe hi bas chaunkne ki aadi hai

kisi ki jaan ka zamin nahin yahan koi
amin-e-shahr ki jaanib se ye munadi hai

kaho jo kahna hai kya pas-e-dard 'qaisi' ka
ki us ne dil se wo buniyaad hi miTa di hai