miT nahin sakta qayamat tak nishan-e-arzu
husn jism-e-arzu hai ishq jaan-e-arzu
wo sunen sine se lag kar dastan-e-arzu
dil ki har aawaz hoti hai zaban-e-arzu
be-KHudi ki manzilon mein sarf-e-hairat ho gaya
dil ki le de kar bacha tha ek nishan-e-arzu
be-qarari be-KHudi bechaargi diwangi
hain ye unwanat-e-zeb-e-dastan-e-arzu
ho chuki roz-e-azal wabastagi-e-huns-o-ishq
ek jaan-e-arzu hai ek jahan-e-arzu
un ki duzdida nigahon mein ye kya eajaz tha
ji uThe ek-bargi sab kushtagan-e-arzu
ho chale un ke lab-e-nazuk tabassum-ashna
barq se kab tak bachega aashiyan-e-arzu
zindagi mere liye 'talib' saza-e-ishq hai
meri hasti hai mujassam dastan-e-arzu

Ghazal
MiT nahin sakta qayamat tak nishan-e-arzu
Talib Baghpati