miT gaya gham tere takallum se
lab hue aashna tabassum se
kis ke naqsh-e-qadam hain rahon mein
jagmagate hain mah-o-anjum se
hai zamana baDa zamana-shanas
kabhi mujh se gila kabhi tum se
naKHuda bhi mila to aisa mila
aashna jo nahin talatum se
us ne aa kar mizaj puchh liya
hum to baiThe hue the gum-sum se
naKHuda ne Dubo diya un ko
wo ki jo bach gae talatum se
zindagi hadson ki zad mein hai
koi kaise bache tasadum se
saya-e-gul mein baiThne walo
guftugu hogi dar par tum se
main ghazal ka asir hun 'ejaz'
sher paDhta hun main tarannum se
Ghazal
MiT gaya gham tere takallum se
Ejaz Rahmani