miT gae hae makin aur makan-e-dehli
na raha nam ko bhi nam-o-nishan-e-dehli
sahme sahme na rahen kyunki muqiman-e-falak
ki falak hai hadaf-e-tir-e-fughan-e-dehli
hum to insan hain ji kyunki rahe bin roe
ki farishte bhi hue marsiya-KHwan-e-dehli
jaise faras mein KHulasa hai zaban-e-shiraaz
waisi hi hind mein hai pak zaban-e-dehli
dur se dekh ke ho kyunki yaqin dilli ka
aa ke dilli mein ho jab yun hi guman-e-dehli
fart-e-kahidgi-e-dard se yarab ab to
sab ke sab ho gae hain pir jawan-e-dehli
is ki virani mein ek baat hai dekho ab tak
miT gae par bhi to baqi rahi aan-e-dehli
jasad-e-charKH na anjum se bane aabla-war
gar na ho darpai barbaadi-e-shan-e-dehli
bas-ki hangama-talab tha ye wahan pahle se
fitna-e-hashr bhi howega miyan-e-dehli
jo makin rah gae be-gor-o-kafan mar mar kar
Dhanpne par wo gire un ka makan-e-dehli
'ghaalib'-o-'saqib'-o-'salik' hi nahin hain ghamgin
'kaukab'-e-KHasta bhi karta hai fughan-e-dehli
Ghazal
MiT gae hae makin aur makan-e-dehli
Tafazzul Husain Khan Kaukab Dehlavi