اردو हिंदी
Misr mein husn ki wo garmi-e-bazar kahan | Shaahi Shayari
misr mein husn ki wo garmi-e-bazar kahan

Ghazal

Misr mein husn ki wo garmi-e-bazar kahan

Yaqeen Inamullah Khan

;

misr mein husn ki wo garmi-e-bazar kahan
jins to hai pe zuleKHa sa KHaridar kahan

faiz hota hai makin par na makan par nazil
hai wahi tur wale shola-e-didar kahan

aish o rahat ke talashi hain ye sare bedard
ek hum ko hai yahi fikr ki aazar kahan

ishq agar kijiye dil kijiye kis se KHali
dard o gham kam nahin is daur mein gham-KHwar kahan

qaidi us silsila-e-zulf ke ab kam hain 'yaqin'
hain dil-azar bahut jaan-giraftar kahan