اردو हिंदी
Misr firaun ki tahwil mein aaya hua hai | Shaahi Shayari
misr firaun ki tahwil mein aaya hua hai

Ghazal

Misr firaun ki tahwil mein aaya hua hai

Asim Wasti

;

misr firaun ki tahwil mein aaya hua hai
KHun pani ki jagah nil mein aaya hua hai

waqt be-waqt jhalakta hai meri surat se
kaun chehra meri tashkil mein aaya hua hai

pesh-bini hai ye ilham ke aaine ki
aks quran ka injil mein aaya hua hai

koi lamha mujhe tabdil kiye jata hai
kya taghayyur meri takmil mein aaya hua hai

sarguzisht-e-dil-e-tafrih-talab mein jaanan
zikr tera kisi tafsil mein aaya hua hai

meri aankhon mein uge KHauf-zada zard kanwal
shark ka aks meri jhil mein aaya hua hai

us ke mahsul pe dushman ki nazar hai 'asim'
jo ilaqa meri tahsil mein aaya hua hai