misl-e-sahra hai rifaqat ka chaman bhi ab ke
jal bujha apne hi shoalon mein badan bhi ab ke
KHar-o-KHas hun to sharar-KHeziyan dekhun phir se
aankh le aai hai ek aisi kiran bhi ab ke
hum to wo phul jo shaKHon pe ye sochen pahron
kyun saba bhul gai apna chalan bhi ab ke
manzilon tak nazar aata hai shikaston ka ghubar
sath deti nahin aise mein thakan bhi ab ke
munsalik ek hi rishte mein na ho jae kahin
tere mathe tere bistar ki shikan bhi ab ke
be-gunahi ke libaade ko utaro bhi 'nasir'
ras aa jae agar jurm-e-suKHan bhi ab ke
Ghazal
Misl-e-sahra hai rifaqat ka chaman bhi ab ke
Naseer Turabi