misl-e-raqs-e-sharar nahin aati
zindagi lauT kar nahin aati
dil-dahi ka to koi saman kar
dilrubai agar nahin aati
hijr mein maut DhunDhne wale
aisi shab ki sahar nahin aati
dil ko de kar fareb-e-shauq-o-talab
ab tamanna nazar nahin aati
ye tabiat hai hazrat-e-naseh
ye samajh soch kar nahin aati
aalam-e-be-dili se bhi yarab
dil ki koi KHabar nahin aati
dard dil mein agar na ho ham-dam
shairi umr-bhar nahin aati
aadmi Thokaren na khae agar
zindagi rah par nahin aati
ras aati nahin agar tadbir
maut kyun chaaragar nahin aati
apni haalat agar main KHud na kahun
kya unhen bhi nazar nahin aati
tum ko aate hain sab jafa-o-jaur
ek wafa hi magar nahin aati
jis nazar se wo dekhte the kabhi
wo nazar ab nazar nahin aati
wae us zindagi ki mahrumi
maut bhi umr-bhar nahin aati
aah wo aarzu-e-dil 'sahir'
ta-qayamat jo bar nahin aati

Ghazal
Misl-e-raqs-e-sharar nahin aati
Sahir Hoshiyarpuri