misl-e-KHanjar lesan rakhte hain
hath bhar ki zaban rakhte hain
hum jale tan diya-salai se
soKHta ustuKHwan rakhte hain
sar-e-uzza ki KHair kabe mein
panw wo be-takan rakhte hain
wo nazar-baz hain ki aankhon mein
putliyan did-ban rakhte hain
alam aahen hain aable danke
hum ye naubat-nishan rakhte hain
ai masiha jo tujh se dam maren
sanam itni bhi jaan rakhte hain
kya Tiken hum yahan zamane ko
charKH mein aasman rakhte hain
tang-dasti se mar rahe hain hazar
aur hi aan-ban rakhte hain
raaz-e-dil sun na le koi ai 'shad'
dar-o-diwar kan rakhte hain
Ghazal
Misl-e-KHanjar lesan rakhte hain
Shad Lakhnavi

