misl-e-baad-e-saba tere kuche mein ai jaan-e-jaan aae hain
chand saat rahenge chale jaenge sar-garan aae hain
sham-e-azurdagi ke satae hue choT khae hue
mehrban ho ke mil hum bahut aaj na-shadman aae hain
ishq karna jo sikha to duniya baratne ka fan aa gaya
karobar-e-junun aa gaya hai to kar-e-jahan aae hain
zaKHm khulne lage phir ubharne lagin dil ki mahrumiyan
yaad phir tere andaz-e-dildari-e-jism-o-jaan aae hain
dastan-e-shab-e-hijr un ko sunane ka din ye nahin
mahfil-e-ishq mein aaj hi to wo kuchh mehrban aae hain
Ghazal
Misl-e-baad-e-saba tere kuche mein ai jaan-e-jaan aae hain
Athar Nafees