misl-e-abr-e-karam hum jahan bhi gae dasht ke dasht gulzar bante gae
zard chehre the jhulse hue dhup se tazgi pa ke gulnar bante gae
jitna bahta gaya zindagi ka lahu aur hote gae hausle surKH-ru
sahl hoti gai manzil-e-justuju raste aur hamwar bante gae
kuchh safar ki thakan se badan chor tha kuchh zamin saKHt thi aasman dur tha
kuchh teri zulf ke sae bhi the ghane phir yahi sae diwar bante gae
lakh aawara o aabla-pa sahi manzilen to hain qadmon se lipTi hui
wo hamin hain ki jab dhun samai kabhi barq-pa nur-e-raftar bante gae
awwal awwal thin rahen baDi pur-KHatar kaun tha juz gham-e-dil sharik-e-safar
phir jo paDne lagi manzilon par nazar dost dushman sabhi yar bante gae
hum bhi Thahre 'mujib' ek shorida-sar jab na paya koi qadr-dan-e-hunar
aap apne junun ke sana-KHwan hue aap apne parastar bante gae
Ghazal
Misl-e-abr-e-karam hum jahan bhi gae dasht ke dasht gulzar bante gae
Mujeeb Khairabadi