misal is ki kahan hai koi zamane mein
ki sare khone ke gham pae hum ne pane mein
wo shakl pighli to har shai mein Dhal gai jaise
ajib baat hui hai use bhulane mein
jo muntazir na mila wo to hum hain sharminda
ki hum ne der laga di palaT ke aane mein
latif tha wo taKHayyul se KHwab se nazuk
ganwa diya use hum ne hi aazmane mein
samajh liya tha kabhi ek sarab ko dariya
par ek sukun tha hum ko fareb khane mein
jhuka daraKHt hawa se to aandhiyon ne kaha
ziyaada farq nahin jhukne TuT jaane mein
Ghazal
Misal isko kahan hai koi zamane mein
Javed Akhtar