misal-e-tar-e-nazar kya nazar nahin aata
kabhi KHayal mein mu-e-kamar nahin aata
hamare aib ne be-aib kar diya hum ko
yahi hunar hai ki koi hunar nahin aata
muhaal hai ki mere ghar wo raat ko aae
ki shab ko mehr-e-daraKHshan nazar nahin aata
tamam KHalq mein rahti hai dhup raaton ko
wo mehr baam se jab tak utar nahin aata
muhaal hai ki jahannam mein KHuld se jaen
jo dar par aap ke jata hai ghar nahin aata
hamari zist mein the sath kaun kaun ai 'barq'
ab ek fatiha ko qabr par nahin aata
Ghazal
Misal-e-tar-e-nazar kya nazar nahin aata
Mirza Raza Barq