misal-e-shoala-o-shabnam raha hai aankhon mein
wo ek shaKHs jo kam kam raha hai aankhon mein
kabhi ziyaada kabhi kam raha hai aankhon mein
lahu ka silsila paiham raha hai aankhon mein
na jaane kaun se aalam mein us ko dekha tha
tamam umr wo aalam raha hai aankhon mein
teri judai mein tare bujhe hain palkon par
nikalte chand ka matam raha hai aankhon mein
ajab banaw hai kuchh us ki chashm-e-kam-go ka
ki sail-e-ah koi tham raha hai aankhon mein
wo chhup raha hai KHud apni panah-e-mizhgan mein
badan tamam mujassam raha hai aankhon mein
azal se ta-ba-abad koshish-e-jawab hai 'shaz'
wo ek sawal jo mubham raha hai aankhon mein
Ghazal
Misal-e-shoala-o-shabnam raha hai aankhon mein
Shaz Tamkanat