misal-e-shama jala hun dhuan sa bikhra hun
main intizar ki har kaifiyat se guzra hun
sab apne apne diyon ke asir pae gae
main chand ban ke kai aanganon mein utra hun
kuchh aur baDh gai barish mein bebasi apni
na baam se na kisi ki gali se guzra hun
pukarti thi mujhe sahilon ki KHamoshi
main Dub Dub ke jo bar bar ubhra hun
kyun itna mere KHayalon mein bas gaya hai koi
kabhi kisi ke tasawwur se main bhi guzra hun
koi to aaj mujhe aankh bhar ke dekhega
main aaj apne lahu mein naha ke nikhra hun
Ghazal
Misal-e-shama jala hun dhuan sa bikhra hun
Fazil Jamili