misal-e-sang paDa kab tak intizar karun
pighalne mein jo rawani hai iKHtiyar karun
KHabar nahin wahan tu kaun se libas mein ho
main kaise aalam-e-pinhan ko aashkar karun
ba-rang-e-mauja-e-KHushbu uDa uDa phire tu
main apne qurb se kyun tujh ko zer-e-bar karun
main dekhta hun use kaise kaise rangon mein
kashid-e-rang karun aur bar bar karun
wo ek bar bhi mujh se nazar milae agar
to main use bhi koi mehrban shumar karun
jo tu gaya hai to main bhi chala gaya goya
aur ab bhi dasht-e-tahayyur mein KHud ko KHar karun
yunhi to main 'zafar' is haal ko nahin pahuncha
fareb de jo mujhe us pe e'tibar karun

Ghazal
Misal-e-sang paDa kab tak intizar karun
Sabir Zafar