misal-e-sang khaDa hai usi hasin ki tarah
makan ki shakl bhi dekho dil-e-makin ki tarah
mulaemat hai andhere mein us ki sanson se
damak rahi hain wo aankhen hare nagin ki tarah
nawah-e-qarya hai sunsan sham-e-sarma mein
kisi qadim zamane ki sar-zamin ki tarah
zamin dur se tara dikhai deti hai
ruka hai us pe qamar chashm-e-sair-bin ki tarah
fareb deti hai wusat nazar ki ufuqon par
hai koi chiz wahan sehr-e-nilmin ki tarah
'munir' ahd hai ab aaKHir-e-masafat ka
ki chal rahi hai hawa baad-e-wapsin ki tarah
Ghazal
Misal-e-sang khaDa hai usi hasin ki tarah
Muneer Niyazi