misal-e-sang-e-tapida jaDe hue hain kahin
hamare KHwab yahin par paDe hue hain kahin
ulajh rahi hai nai Dor narm hathon se
patang shaKH-e-shajar par aDe hue hain kahin
jinhen ugaya gaya bargadon ki chhanw mein
bhala wo peD chaman mein baDe hue hain kahin
guzar gaya wo qayamat ki chaal chalte hue
jo muntazir the wahin par khaDe hue hain kahin
bula raha hai koi shahr-e-arzu se hamein
magar ye panw zamin mein gaDe hue hain kahin
Ghazal
Misal-e-sang-e-tapida jaDe hue hain kahin
Shaheen Mufti