اردو हिंदी
Misal-e-sada-waraq tha magar kitab mein tha | Shaahi Shayari
misal-e-sada-waraq tha magar kitab mein tha

Ghazal

Misal-e-sada-waraq tha magar kitab mein tha

Nasir Zaidi

;

misal-e-sada-waraq tha magar kitab mein tha
wo din bhi the main tere ishq ke nisab mein tha

bhula chuka hai tu ek bar mujh se aa kar sun
wahi sabaq jo kabhi tere dil ke bab mein tha

jo aaj mujh se bichhaD kar baDe sukun mein hai
kabhi wo shaKHs mere waste azab mein tha

usi ne mujh ko gham-o-soz-e-jawidan baKHsha
wo ek chand ka TukDa sa jo naqab mein tha

mera wajud mujassam KHulus tha 'nasir'
main phir bhi bargah-e-husn ke itab mein tha