misal-e-mushk zaban se meri fasana gaya
main ek tarannum-e-KHush-lab jise suna na gaya
gulon ke ishq mein KHaron se dosti kar li
bas ek murgh-e-chaman tha jo aashiqana gaya
hui thi rahnumai magar ye jurm ka shauq
usi ke kucha-e-qatil mein mujrimana gaya
kabhi tasawwur-e-jaanan kabhi tasalli-e-dil
tumhaari yaad se KHali kabhi raha na gaya
mera ye jurm bhi likh de mere nawishte mein
ki main takalluf-e-ulfat mein muKHlisana gaya
kitab-e-zist ki tabir marg-e-dil hi to hai
jise suna to gaya hai abhi paDha na gaya
siyah raat ki tanhaiyan KHuda ki panah
'qamar'-nazhad tha dilbar to dil-barana gaya

Ghazal
Misal-e-mushk zaban se meri fasana gaya
Qamar Abbas Qamar