اردو हिंदी
Misal-e-dast-e-zuleKHa tapak chahta hai | Shaahi Shayari
misal-e-dast-e-zuleKHa tapak chahta hai

Ghazal

Misal-e-dast-e-zuleKHa tapak chahta hai

Ahmad Faraz

;

misal-e-dast-e-zuleKHa tapak chahta hai
ye dil bhi daman-e-yusuf hai chaak chahta hai

duaen do mere qatil ko tum ki shahr ka shahr
usi ke hath se hona halak chahta hai

fasana-go bhi kare kya ki har koi sar-e-bazm
maal-e-qissa-e-dil dardnak chahta hai

idhar udhar se kai aa rahi hain aawazen
aur us ka dhyan bahut inhimak chahta hai

zara si gard-e-hawas dil pe lazmi hai 'faraaz'
wo ishq kya hai jo daman ko pak chahta hai