اردو हिंदी
Misal-e-charKH raha aasman sar-gardan | Shaahi Shayari
misal-e-charKH raha aasman sar-gardan

Ghazal

Misal-e-charKH raha aasman sar-gardan

Mirza Asman Jah Anjum

;

misal-e-charKH raha 'asman' sar-gardan
par aaj tak na khula ye ki justuju kya hai

yahan to kaam tamanna hi mein tamam hua
magar unhon ne na puchha ki aarzu kya hai

ye bahs kasrat o wahdat ki hum se kyun waiz
hamari aankhon se tu dekh chaar-su kya hai

koi to chahiye raKHna umid-wari ko
barae-chaak-e-jigar hajat-e-rafu kya hai

masal jahan mein hai mushte namuna az-KHurwar
jo haT-dharam nahin tum ho to haT ki KHu kya hai

gawah hain ye teri bahki bahki baaton ke
ye jam kya hai ye mai kya hai ye subu kya hai

tumhaare dant nahin hire ki hain ye kaniyan
tumhaare samne moti ki aabru kya hai