meri zindagi ki kitab ka hai waraq waraq yun saja hua
sar-e-ibtida sar-e-intiha tera nam dil pe likha hua
ye chamak-damak to fareb hai mujhe dekh gahri nigah se
hai libas mera saja hua mera dil magar hai bujha hua
meri aankh teri talash mein yun bhaTakti rahti hai raat-din
jaise jangalon mein hiran koi ho shikariyon mein ghira hua
teri duriyan teri qurbaten tera lams teri rifaqaten
mujhe ab bhi wajh-e-sukun to hai tu hai dur mujh se to kya hua
ye gile ki baat to hai magar mujhe us se koi gila nahin
jo ujaD gaya mera ghar to kya hai tumhaara ghar to bacha hawa
tere aansuon se likha hua mere aansuon se miTa hua
main 'nasim' KHat ko paDhun bhi kya ki hisar-e-ab hi aab hai
tere aansuon se likha hua mere aansuon se miTa hua
Ghazal
Meri zindagi ki kitab ka hai waraq waraq yun saja hua
Mumtaz Naseem