meri zindagi ka ye haal tha yahi shakl-e-rah-rawi rahi
ki na gham ka gham hi raha kabhi na KHushi ki mujh ko KHushi rahi
na wo parda-dar hai raaz mein na kisi ki parda-dari rahi
jo paDe the parde sab uTh gae magar ab bhi jalwagari rahi
shab-e-hijr guzri hai kis tarah tumhein kya sunaun ye majra
main ajal ke sae mein tha khaDa meri sar pe maut khaDi rahi
teri yaad mein bahut hila-ju yunhi guzre sham-o-sahar mere
kabhi din mein aah se kaam tha kabhi shab mein nauhagari rahi
na kisi ke dushman-e-jaan hue na kisi ko dushman-e-jaan kiya
yahi baat thi ki jo ghair se bhi hamesha apni bani rahi
meri hasraten mere hausle sab hi jal ke KHak mein mil gae
ye kisi ki di hui aag thi jo lagi to dil mein lagi rahi
wo ghaTa ka zor kahan gaya shab-e-mah kya hui saqiya
ki na lutf-e-bazm-e-surur hai na bahaar-e-baada-kashi rahi
ye nawazishen teri baghban ki kahin ka main nahin rah gaya
na wo ranj-e-daur-e-KHizan raha na wo fasl-e-gul ki KHushi rahi
meri be-kasi se jahan mein na hua bhi kuchh to bahut hua
wahi bebasi to rahi magar teri yaad dil mein basi rahi
ye sawal kyun ye KHayal kya hai wafa to is ka maal kya
yahi zikr wird-e-zaban raha yahi fikr dil ko lagi rahi
na mujhi ko apna pata mila na tujhi ko DhunDh ke pa saka
na meri KHabar na teri KHabar ajib ek be-KHabari rahi
ye maqam-e-shukr hai be-guman raha KHush hi 'KHushtar'-e-KHush-bayan
na ata wajud mein thi kasar na karam ki us ke kami rahi
Ghazal
Meri zindagi ka ye haal tha yahi shakl-e-rah-rawi rahi
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar