meri zindagi hai tanha tumhein kuchh asar to hota
koi dost tum sa hota koi ham-safar to hota
ye tamam sae apne chalun kab talak sameTe
koi ham-nashin to hota koi chaara-gar to hota
kabhi kuchh guman hota mujhe manzilon ka apni
jise apna hum ne samjha wahi rahbar to hota
main kahan se laun qismat jo banun tumhaare qabil
ki tumhaare ghar ke aage mera koi ghar to hota
hai ajib kashmakash mein ye 'saba' ki bandagi bhi
kabhi un ke dar ke laeq kabhi mera sar to hota
Ghazal
Meri zindagi hai tanha tumhein kuchh asar to hota
Bubbles Hora Saba