اردو हिंदी
Meri zindagi bhi tu hai mera muddaa bhi tu hai | Shaahi Shayari
meri zindagi bhi tu hai mera muddaa bhi tu hai

Ghazal

Meri zindagi bhi tu hai mera muddaa bhi tu hai

Ram Krishn Muztar

;

meri zindagi bhi tu hai mera muddaa bhi tu hai
main tujhi ko chahta hun tu hi meri aarzu hai

kise DhunDhti hain har-su meri be-qarar nazren
tu ye KHub jaanta hai mujhe kis ki justuju hai

meri chashm-e-husn hi mein tere ruKH ki tabishen hain
mere halqa-e-nazar mein teri zulf-e-mushk-bu hai

jo karam pe tum ho mail to ye shan hai tumhaari
na sawal kyun karun main ki sawal meri KHu hai

meri ruh KHush hai 'muztar' ki meri talab hai sadiq
jo nazar se chhup raha tha wahi aaj ru-ba-ru hai