meri zist par masarrat kabhi thi na hai na hogi
koi behtari ki surat kabhi thi na hai na hogi
mujhe husn ne sataya, mujhe ishq ne miTaya
kisi aur ki ye haalat kabhi thi na hai na hogi
wo jo be-ruKHi kabhi thi wahi be-ruKHi hai ab tak
mere haal par inayat kabhi thi na hai na hogi
wo jo hukm den baja hai, mera har suKHan KHata hai
unhen meri ru-riayat kabhi thi na hai na hogi
jo hai gardishon ne ghera, to nasib hai wo mera
mujhe aap se shikayat kabhi thi na hai na hogi
tere dar se bhi nibahe, dar-e-ghair ko bhi chahe
mere sar ko ye ijazat kabhi thi na hai na hogi
tera nam tak bhula dun, teri yaad tak miTa dun
mujhe is tarah ki jurat kabhi thi na hai na hogi
main ye jaante hue bhi, teri anjuman mein aaya
ki tujhe meri zarurat kabhi thi na hai na hogi
tu agar nazar milae, mera dam nikal hi jae
tujhe dekhne ki himmat kabhi thi na hai na hogi
jo gila kiya hai tum se, to samajh ke tum ko apna
mujhe ghair se shikayat kabhi thi na hai na hogi
tera husn hai yagana, tere sath hai zamana
mere sath meri qismat kabhi thi na hai na hogi
ye karam hai doston ka, wo jo kah rahe hain sab se
ki 'nasir' par inayat kabhi thi na hai na hogi

Ghazal
Meri zist par masarrat kabhi thi na hai na hogi
Peer Nasiruddin Shah Naseer