meri wafaon ka nashsha utarne wala
kahan gaya mujhe hans hans ke haarne wala
hamari jaan gai jae dekhna ye hai
kahin nazar mein na aa jae marne wala
bas ek pyar ki bazi hai be-gharaz bazi
na koi jitne wala na koi haarne wala
bhare makan ka bhi apna nasha hai kya jaane
sharab-KHane mein raaten guzarne wala
main us ka din bhi zamane mein banT kar rakh dun
wo meri raaton ko chhup kar guzarne wala
'wasim' hum bhi bikharne ka hausla karte
hamein bhi hota jo koi sanwarne wala
Ghazal
Meri wafaon ka nashsha utarne wala
Waseem Barelvi