meri wafa mera isar chhin le mujh se
hai kaun jo mera kirdar chhin le mujh se
ye zindagi koi sau bar chhin le mujh se
magar nahin ki tera pyar chhin le mujh se
ye waqt wo hai ki qadmon mein baiThne wala
ye chahta hai ki dastar chhin le mujh se
ata ho ya to wahi dabdaba wahi jazba
nahin to ye meri lalkar chhin le mujh se
sawal karti hai umr-e-rawan ki hai koi
jo meri tezi-e-raftar chhin le mujh se
main zer-e-saya-e-diwar bhi hun KHauf-zada
ki wo na saya-e-diwar chhin le mujh se
mera harif kam-auqat chahta hai 'waqar'
mera asasa-e-afkar chhin le mujh se

Ghazal
Meri wafa mera isar chhin le mujhse
Waqar Manvi