meri wafa ki mukammal tu dastan kar de
jahan pe aag nahin hai wahan dhuan kar de
kahin se koi tamanna dua mein aa na sake
mere KHuda tu mere dil ko be-zaban kar de
wo jis ke lams se patthar bhi ruh pa jae
us ek shaKHs ko mujh par bhi mehrban kar de
bahut suna hai tere moajazon ke bare mein
mere bhi zaKHm-e-jigar ko tu kahkashan kar de
main apne dil ki har ek baat us se kah dunga
sune to sunta rahe wo kahe to han kar de
yahan pe kuchh na ho bikhri hui sada ke siwa
mere wajud ko ujDa hua makan kar de
main apni qabr mein zinda paDa hua hun 'arsh'
alag alag to koi mere jism-o-jaan kar de
Ghazal
Meri wafa ki mukammal tu dastan kar de
Vijay Sharma Arsh