meri wafa ka tera lutf bhi jawab nahin 
mere shabab ki qimat tera shabab nahin 
ye mahtab nahin hai ki aaftab nahin 
sabhi hai husn magar ishq ka jawab nahin 
meri nigah mein jalwe hain jalwe hi jalwe 
yahan hijab nahin hai yahan naqab nahin 
junun bhi had se siwa shauq bhi hai had se siwa 
ye baat kya hai ki main maurid-e-itab nahin 
yahan to husn ka dil bhi hai gham se sad para 
main kaamyab nahin wo bhi kaamyab nahin 
yahan to raat ki bedariyan musallam hain 
magar wahan bhi hasin ankhDiyon mein KHwab nahin 
na puchhiye meri duniya ko meri duniya mein 
KHud aaftab bhi zarra hai aaftab nahin 
sab hi hain mai-kada-e-dahr mein KHirad wale 
koi KHarab nahin hai koi KHarab nahin 
'majaz' kis ko main samjhaun koi kya samjhe 
ki kaamyab-e-mohabbat bhi kaamyab nahin
        Ghazal
Meri wafa ka tera lutf bhi jawab nahin
Asrar-ul-Haq Majaz

