اردو हिंदी
Meri taraf se ye be-KHayali na jaane un ko KHayal kya hai | Shaahi Shayari
meri taraf se ye be-KHayali na jaane un ko KHayal kya hai

Ghazal

Meri taraf se ye be-KHayali na jaane un ko KHayal kya hai

Jaleel Manikpuri

;

meri taraf se ye be-KHayali na jaane un ko KHayal kya hai
kabhi na puchha malal kya hai kabhi na dekha ki haal kya hai

mubarak aghyar se talluq nai hai chahat naya tashshuq
bala se hum ho gae tasadduq tumhein ab is ka malal kya hai

tujhi ko jaana tujhi ko mana tujhi pa di jaan ghaebana
chhupa nahin kuchh mera fasana ye ab jawab-o-sawal kya hai

visal ho ya rahe jaddai tumhaari ai jaan jaisi marzi
jo apni haalat thi main ne kah di ab aage meri majal kya hai

nazar uThaen jo aarsi se to un se puchhun ye main hansi se
lagai hai aankh kya kisi se kaho to ye dekh-bhaal kya hai

dar-e-mohabbat ka ek gada hun pari ka talib na hur ka hun
tujhi ko tujh se main chahta hun bas aur mera sawal kya hai

kahan tak ai waizo ye jhagDe maze uThane do be-KHudi ke
jo hosh mein hun to main ye samjhun haram kya hai halal kya hai

bas ab mohabbat se hath uThao bhale ko kahte hain man jao
na aap ko is tarah miTao 'jalil' dekho to haal kya hai