meri taqdir shikwa-sanj daur-e-asman kyun ho
mile jab dard mein lazzat talash-e-mehrban kyun ho
sharik-e-lazzat-e-azad koi ham-zaban kyun ho
tumhin batlao mani-KHez meri dastan kyun ho
wahi dil hai wahi KHwahish wahi tum ho wahi main hun
meri duniya mein aaKHir inqilab-e-asman kyun ho
wo mere baad rote hain ab un se koi kya puchhe
ki pahle kis liye naraaz the ab mehrban kyun ho
bagulon mein uDe jab KHak mere aashiyane ki
qafas ki samt hi yarab hawa-e-gulsitan kyun ho
tumhein fariyaad-ras kahte hain main fariyaad karta hun
tumhein aaKHir batao phir ye koshish raegan kyun ho
satana hi agar manzur hai kah do satate hain
meri taqdir ke parde mein mera imtihan kyun ho
hamein malum hai 'talib' haqiqat raaz-e-hasti ki
magar is be-haqiqat ki haqiqat hi ayan kyun ho

Ghazal
Meri taqdir shikwa-sanj daur-e-asman kyun ho
Talib Baghpati