meri tarikiyon se bhagta main
tumhaari raushni se aa laga main
diye jaisa badan Dhanpe hue tha
hawa hone ka dam bharta hua main
hazaron peD hain is dasht mein aur
hazaron mein kahin tanha khaDa main
badan hun ruh ke is daere mein
aur apni ruh ka hun daera main
hawa mein jazb pani sokh lunga
tumhaari KHak se lipTa hua main
mere sine se lag kar so gaya wo
use sine laga kar jagta main
abhi dastak suni main ne lihaza
badan ke sab daron ko kholta main
teri baaton ko sunna bhul baiTha
teri baaton mein itna mubtala main
tu jab tak sath hai mera KHuda hai
aur us ke baad hun apna KHuda main
Ghazal
Meri tarikiyon se bhagta main
Nivesh Sahu