اردو हिंदी
Meri sifat ka jab usne etiraf kiya | Shaahi Shayari
meri sifat ka jab usne etiraf kiya

Ghazal

Meri sifat ka jab usne etiraf kiya

Ghulam Murtaza Rahi

;

meri sifat ka jab us ne e'tiraf kiya
bajae chehra ke aaina main ne saf kiya

chhupa tha hira koi raste ke patthar mein
hamari Thokaron ne is ka inkishaf kiya

muwafaqat mein chali thi mere safine ki
hawa ne bich samundar mein iKHtilaf kiya

guhar bana ke sadaf ne use nikala hai
kabhi jo bund ne dariya se inhiraf kiya

zamin ghumti hai jaise apne mehwar par
KHud apni zat ka main ne yun hi tawaf kiya