meri shaki hai KHud meri fughan tak
ki talu se nahin lagti zaban tak
koi hasrat hi le aae mana kar
mere ruThe hue dil ko yahan tak
jagah kya dard ki bhi chhin lega
jigar ka dagh phailega kahan tak
asar nalon mein jo tha wo bhi khoya
bahut pachhtae ja kar aasman tak
falak tere jigar ke dagh hain hum
miTae ja miTana hai jahan tak
wo kya pahlu mein baiThe uTh gae kya
na lin jaldi mein do ek chuTkiyan tak
koi mange to aa kar muntazir hai
liye thoDi si jaan ek nim-jaan tak
uThane se ajal ke main na uThta
wo aate to kabhi mujh na-tawan tak
'jalal'-e-nala-kash chupka na hoga
wo de kar dekh len munh mein zaban tak
Ghazal
Meri shaki hai KHud meri fughan tak
Jalal Lakhnavi