meri shaeri mein na raqs-e-jam na mai ki rang-fishaniyan
wahi dukh-bharon ki hikayaten wahi dil-jalon ki kahaniyan
ye jo aah-o-nala-o-dard hain kisi bewafa ki nishaniyan
yahi mere din ke rafiq hain yahi meri raat ki raniyan
ye meri zaban pe ghazal nahin main suna raha hun kahaniyan
ki kisi ke ahd-e-shabab par miTin kaisi kaisi jawaniyan
kabhi aansuon ko sukha gain mere soz-e-dil ki hararaten
kabhi dil ki naw Dubo gain mere aansuon ki rawaniyan
abhi us ko is ki KHabar kahan ki qadam kahan hai nazar kahan
abhi maslahat ka guzar kahan ki nai nai hain jawaniyan
ye bayan-e-haal ye guftugu hai mera nichoDa hua lahu
abhi sun lo mujh se ki phir kabhu na sunoge aisi kahaniyan
Ghazal
Meri shaeri mein na raqs-e-jam na mai ki rang-fishaniyan
Kaleem Aajiz