meri sachchai har surat teri muTThi se niklegi
anguThi gir ke dariya mein kisi machhli se niklegi
faqiron ko tu apni shan-o-shaukat kya dikhata hai
hukumat sare aalam ki meri gaThri se niklegi
main tanha hi nahin jo be-sabab sach bol dete hain
ye bimari gharibon ki har ek basti se niklegi
inhin zaKHmon ko mere dard ka bais na jaano tum
nishani aur bhi ujDi hui dilli se niklegi
mohabbat ki bulandi par kar ke tum kabhi dekho
anal-haq ki sada bahti hui lakDi se niklegi
gharibi dur karne aasman se kaun aaega
KHazane se bhari gagri isi miTTi se niklegi
abhi do-chaar jumlon se bhara kaghaz ka TukDa hai
KHizan aane do phir KHushbu meri chiTThi se niklegi
qarabat to mayassar hai magar ye dil ki tanhai
meri marzi se aai hai meri marzi se niklegi
andhera dekhna KHud le ke aaega diya mera
kisi din raushni 'sagar' isi aandhi se niklegi
Ghazal
Meri sachchai har surat teri muTThi se niklegi
Taufeeq Sagar