meri rangin-kalami ka hai wo gul pairahan bais
ki howe bulbulon ki KHush-safiri ka chaman bais
koi hota hai sang-e-sina KHusraw se raqibon ka
hua nahaq halak apne ka aapi kohkan bais
jo hota hai kisi se uns sab se wahshat aati hai
meri sahra-nashini ka hai mera man-haran bais
'hazin' un shoala-ruKHsaron se ji ko mat laga hargiz
hui aaKHir ko parwane ke jalne ki lagan bais
Ghazal
Meri rangin-kalami ka hai wo gul pairahan bais
Meer Mohammad Baqar Hazin