meri nigah kahan did-e-husn-e-yar kahan
ho e'tibar to phir tab-e-intizar kahan
dilon mein farq hua jab to chah pyar kahan
chaman chaman hi nahin aaegi bahaar kahan
jise ye kah ke wo hans den ki qissa achchha hai
wo raaz khul ke bhi hota hai aashkar kahan
umang thi ye jawani ki ya koi aandhi
mila ke KHak mein hum ko gai bahaar kahan
umid-war banane se muddaa kya tha
jab aas tum ne dila di to ab qarar kahan
mili hai is liye do-chaar din ki aazadi
ki sarf karta hai dekhen ye iKHtiyar kahan
ye shauq le ke chala hai chaman se shakl-e-nasim
ki dekhen milti hai jati hui bahaar kahan
hai ek shart wafa ki wo qaid-e-be-zanjir
sab iKHtiyar hain aur kuchh bhi iKHtiyar kahan
miTe nishan pe nazar kar ke ro jise chahe
tere sitam ki hai turbat mera mazar kahan
tum aisa ahd-shikan 'arzu' sa na-ummid
kaho jo sach bhi to aata hai e'tibar kahan
Ghazal
Meri nigah kahan did-e-husn-e-yar kahan
Arzoo Lakhnavi