meri nazar se na ho dur ek pal ke liye
tera wajud hai lazim meri ghazal ke liye
kahan se DhunDh ke laun charagh sa wo badan
taras gai hain nigahen kanwal kanwal ke liye
kisi kisi ke nasibon mein ishq likkha hai
har ek dimagh bhala kab hai is KHalal ke liye
hui na jurat-e-guftar to sabab ye tha
mile na lafz tere husn-e-be-badal ke liye
sada jiye ye mera shahr-e-be-misal jahan
hazar jhonpaDe girte hain ek mahal ke liye
'qatil' zaKHm sahun aur muskuraata rahun
bane hain daere kya kya mere amal ke liye
Ghazal
Meri nazar se na ho dur ek pal ke liye
Qateel Shifai