اردو हिंदी
Meri nazar mein KHak tere aaine pe gard hai | Shaahi Shayari
meri nazar mein KHak tere aaine pe gard hai

Ghazal

Meri nazar mein KHak tere aaine pe gard hai

Bashir Badr

;

meri nazar mein KHak tere aaine pe gard hai
ye chand kitna zard hai ye raat kitni sard hai

kabhi kabhi to yun laga ki hum sabhi machine hain
tamam shahar mein na koi zan na koi mard hai

KHuda ki nazmon ki kitab sari kaenat hai
ghazal ke sher ki tarah har ek fard fard hai

hayat aaj bhi kaniz hai huzur-e-jabr mein
jo zindagi ko jit le wo zindagi ka mard hai

ise tabarruk-e-hayat kah ke palkon par rakhun
agar mujhe yaqin ho ye raste ki gard hai

wo jin ke zikr se ragon mein dauDti thin bijliyan
unhin ka hath hum ne chhu ke dekha kitna sard hai