meri mushkil agar aasan bana dete to achchha tha
labon se lab dam-e-aKHir mila dete to achchha tha
main ji sakta tha bas teri zara si ek inayat se
mere hathon mein hath apna thama dete to achchha tha
meri betab dhaDkan ko bhi aa jata qarar aaKHir
mere KHwabon ki duniya ko saja dete to achchha tha
tumhaari be-ruKHi par dil mera bechain rahta tha
kabhi aadat ye tum apni bhula dete to achchha tha
kabhi is jald-bazi ka samar achchha nahin hota
koi din aur chahat mein bita dete to achchha tha
'safi' aansu bhi dushman ban gae hain dekh le aaKHir
na in ko zabt karte tum baha dete to achchha tha
Ghazal
Meri mushkil agar aasan bana dete to achchha tha
Ateequrrahman Safi